Aisa Kyun Hai Hindustan

Jab laakhon hain bhagwan to aisa, kyun hai hindustan,

Anginat mile vardaan to aisa, kyun hai hindustan


Hum vishwaasi bharatwaasi,

Har pag sheesh jhukaate hain

Itna aadar insaan to kya, patthar bhi pooje jaate hain

Laakhon sadhu laakhon yantar,

Hain pag pag par jaadu mantar

Itne swami, chele karod, hai paas unke har jod tod

Damru duggi, gal me maala

Sar pe bhaboot, keshon waala

Tota bataa raha hai future,

Ik mota pooch raha dar dar

Kya pashchim mein ghar ki khidki

Ya poorab mein hai furniture

Jab itna saara gyaan,

To aisa, kyun hai hindustan..


Lootane waale khade raah mein

Lutne waale badi chaah mein

Peechhe waale soch rahe hain

Bade faayde me agle,

Jiske Kaan ho woh sun le


Koi chauka chhakka maar de to

Mandir unke ban jaate hain

filmon mein hit ho jaayen to

Unko bhagwan bulaate hain

Unke bhi mandir bante hain,

Aur pooja aarti sajti hai..

Gaye jaate hain bhajan geet,

Kya hum logon ki bhakti hai.

Insaan ko bolen param pooj,

Charnon ko dho ke peete hain..

Hum aise kitne babaon ke

Aashirwaad se jeete hain.

Jo maange inko milta hai,

Jo chaahen woh karvaate hain.

Insaan bana bhagwan to aisa, kyun hai hindustan…


Ik aur naya avtaar janam,

Apni dharti pe leta hai

Har paanch saal me aata hai

Haan theek kaha ji neta hai

Yeh dono haath se leta hai

Aur kabhi na waapas deta hai

Mazhab ke naam pe leta hai,

Bhaasha ke naam pe leta hai

Ladwaata hai, marwaata hai,

Jalwaata hai, katwaata hai

Jab kaam bane na apnon se,

Yeh dushman se mil jaata hai

Iske bhi laakhon bhakt yahaan,

Aur sewak iske wafadaar

Raja ke ek ishaare pe

Yeh desh jala den baar baar

Neta ki aisi shaan, to aisa kyon hai Hindustan..


Lekin kahin pe ik saccha rab,

Woh aasmaan mein rota hai

Kehta hai yeh kya mere naam se

Is jahaan me hota hai

Ban gaye khuda insaan sabhi

Bhoolen hai meri shaan sabhi

Jo kehta hai mere sach ko,

Sooli mein gadhte hain usko

Dharti pe gar main jaaunga,

Mujhko bhi na pehchaanenge,

Hai chamatkaar ko namaskar,

Sacchhai kya ye maanenge

Paisa khuda hai, shohrat khuda hai,

Taaqat khuda hai, yeh kya hua

Lo maine bhi ab chhod diya,

Aur apne mukh ko mod liya

Jab rooth gaya bhagwan

To phir kya, hoga hindustan..