Samay bada anmol

Har baat ka ik mauka hai

Har pal ka hai tol

Sun le bhai baat pate ki,

Yun birtha mat dol re bande…

Samay bada anmol…

Marne ka, paida hone ka

Kaatne ka aur bone ka,

Waqt hai hansne ka rone ka,

Mile na mandi mol, re bhai..


Samay ghaat ka samay prem ka

Dhaane ka hai banaane ka,

Chhati peetan ka naachan ka,

Chup chup sang bas dol, re bhai…


Gale lagan ka, door hatan ka

Dhoondan ka aur khovan ka,

Samay phaadne ka seene ka,

Aage moonh mat khol, re bande


Samay prem ka samay bair ka

Ladne ka aur milne ka,

Sahi samay pe sab darwaaze,

Dega samay hi khol, re bhai..

Sun lo bhaiya…samay bada…